Thursday, 5 February 2009

e mere khuda tujeh kaise chahun
teri wafa ke sadke
meri mahobat tu hai
meri ibaadad tu hai
meri rahe zindgi ki
meri manzil tu hai
tu hi mera deen-e-imaan
meri bandgi tu hai
mera zameen aur aasman
meri zindgi tu hai
tere liye main aur kya likhun
saare jahaan ki jitni hai roshni
us se kahin ziada tu hai
meri saanson ki her lai mein
meri dhadkan mein tu hai
palkon ko kholun yaan band karun
meri aankhon mein basi
moorat tu hai
mera ateet tu hi hai
aur meri haqiqat tu hai
mera kal aur mera aaj tu hai
meri zindgi ka ant aur shuruaat tu hai
Apni kismat pe rashk hota hai
mera pyaar bhi kaisa haseen hai
jo bhi dekhe dekhta hi rahe
kisi ko na yakeen hota hai
is sari kaynaat mein
tujhsa haseen kuch bhi nahin
yeh jaan ke mujeh
khud pe gumaan hota hai
Phoolon ke chaman ko dekha
to unka khyaal aaya
phoolon ki tarahn mujeh
unka shbab yaad aaya
yun phool ki tarahn lahrana unka
mujhse daali ki tarahn lipat jana unka
ek haseen ahsaas yaad aaya
phoolon ke chaman ko dekha
to unka khyaal aaya
yun hi hawa chaman se gujre
phoolon ka jab badan chume
phoolon ka simatna,simatker
jhuk jaana yaad aaya
phoolon ke chaman ko dekha
to unka khyaal aaya