Phoolon ke chaman ko dekha
to unka khyaal aaya
phoolon ki tarahn mujeh
unka shbab yaad aaya
yun phool ki tarahn lahrana unka
mujhse daali ki tarahn lipat jana unka
ek haseen ahsaas yaad aaya
phoolon ke chaman ko dekha
to unka khyaal aaya
yun hi hawa chaman se gujre
phoolon ka jab badan chume
phoolon ka simatna,simatker
jhuk jaana yaad aaya
phoolon ke chaman ko dekha
to unka khyaal aaya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment